Shab e barat : shab e barat ki dua

229
Shab e barat : shab e barat ki dua
Shab e barat : shab e barat ki dua

Ajki is post me apko “Shab e barat : shab e barat ki dua ” in sabhi sawalo ke jawab miljaenge jo ap Google par search kar rahe ho hum koshish karenge ke isse bhi zyada.

Apko jankari di jae jisse apki shab e barat Mubarak jae or app dheron nekiyan kamane me kamyaab hojae.

shab e barat date 25/2/2024 hai Baroz e itwar (Sunday).

Shab e barat

Subse phale hum ye samjh lete hai ke asal me Shab e barat hai kya ye ek Tyohar hai ya Khushi ka din ya fir gami ka din bhot sare log is din Khushi manate hai to bhot sare ease log bhi hai.

Jo is din ko gam ka din mante hai or purane kapde phakr khamoshi se guzar dete hai.

Shab e barat musalmano ke liye ek easa din hai jis din Allah Tabaraku Tala apne bande ke pure saal ke bare me likh deta hai ke ye Banda agar is saal me kbhi bhi marega wo din tarikh or wqt likh Diya jata hai.

Rizk me barkat hogi ya tangi wo bhi Shab e barat ke din hi likh Diya jata hai guzre hue saal ka Rajister band karkar Ane wale sal ka naya Rajister tayar Kiya jata hai jisme

cheez tea hoti hai.

ye Ane wale is saal me ye Banda kya kya karega iske sath kya kya hone wala hai isi liye is raat jagkar ibadat ki jati hai taki jub purane Rajister band ho to hum ibadat me hi or hum roza rakhte hai taki jub nae Rajister ka agaz hoto hum roze se ho.

Shab e barat ki dua

🌹SAWAL:-🌹*
Shab E Barat Se 1 Din Pahle Jo ARFA Manate Hai Ya ARFA Ka Fateha Karte Hai Uske Bare Me Tafsil Se Bataein…❓❓

🌹JAWAB:-🌹
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Koi Shabe Baraat Se Pahle Mar Jaye To Aane Wali Shabe Baraat Ke Ek Din Pahle Jo Fatiha Dilai Jati He Hamare Yahañ Log Use Arfa Ka Fatiha Kahte Hai.. Jo Bilkul Jaaiz He.

Lekin Isme Ye Samajhna Ki Jab Tak Arfa Ka Fatiha Na Dilaya Jaye Us Mayyat Ke Sath Dusre Ka Naam Shamil Na Kiya Jaye, Alag Se Fatiha Diya Jaye. Ya Shabe Barat Me Aam Roohoñ Ko Fatiha Dilana Munasib Na Samjhe… Ye Sab Jahalat He. Iski Koi Asl Nahi.. Balki Jab Chaheñ Jitni Roohoñ Ko Chahe Sath Fatiha Dilaye Ya Alag Alag Dilaye Arfa Ke Pahle Ya Baad Me Koi Harj Nahi…

Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Mayyat Ko Isale Sawab Ke Liye Shara’a Ki Janib Se Koi Khas Din Muta’ayyin Nahiñ Isale Sawab Karne Wale Ko Saal Ya Maah Me Jis Din Sahulat Nazar Aaye Vo Din Uske Liye Khas Kar Sakta He Lihaza Mayyat Ko Isale Sawab Ke Liye Shaban Ki Pandrahviñ Raat Se Pahle Chaudhviñ Raat Ko Khas Karne Me Koi Harj Nahi…

Neez Agar Vo Fatiha Sunnat Tareeqa Par Kiya Jata He Or Usme Koi Amr Khilafe Shara’a Anjam Nahi Pata To Ye Fatiha Mahmood W Mustahasan He..

Or Ye Khayal Rakhna Ki Jab Tak Is Saal Ki Mayyat Ke Liye Arfa Ka Makhsoos Fatiha Nahi Ho Jata Shabe Barat Me Aam Roohoñ Ko Fatiha Dilana Munasib Nahiñ Batil Khayal He Ki Ahaadise Mubarak Me Shabe Baraat Ki Ibadat W Fatiha Ki Bahut Zyada Fazilat Warid He.

Fatawa Razviya Shareef Me He,
Arfa Tak Ya Baad Tak Agar Alag Hamesha Fatiha De To Harj Nahi, Shamil Rakhe To Harj Nahi , Ye Samajhna Ki Arfa Tak Alag Ka Hukm He Phir Shamil Ka Ye Galat W Jahalat He.
📚(Fatawa Razviya, J-4, S-213)
📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-1, S-382)

Or Huzur Allama Abdul Mannan Aazmi Alaihir Rahma Farmate Hai,
Arfa Karna Na Sunnat He, Na Wajib, Ye Isale Sawab He Or Ye Mustahasan He Jiska Jee Chahe Kare Or Jiska Jee Chahe Na Kare.
📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-2, S-95)

Lihaza Arfa Ka Fatiha Karna Mustahasan He, Kare To Sawab Payega.. Na Kare To Gunah Bhi Nahi…
Wallahu Aa’alam Bis-Sawab
_✍🏻Pathan Moin Raza Khan

shab e barat namaz

App log piks me likhi Hui bato par Amal kijiyega inshallah apko bhi Ane wali zindagi me faeda hi faeda hoga is keemti din or raat ko uhi sadko par ghumne me mat guzariyega Roz par pathakhe phodkar time ki barbadi na karna.

ye sare kaam shitan mardood ke hai hum musalmano ke nhi hume to apne Deen par chalkar Aman ka paigam Dena hai jisse humare nabi Mohammad sallallahu alaihi wasallam khush hokar hume bakshwa de .

humto bhot gunhagar badkaar hai hume apne gunhaho se toba karne ki raat hai.

Shab e barat : shab e barat ki dua
Shab e barat : shab e barat ki dua

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here